1

yeh pyaar kya hai‏

Posted by the lonely wanderer on 6:33 AM
jahaan haar mein jeet hai,
aur jeet mein haar hai,
yehi toh pyar hai ,
bas yehi toh pyar hai.

pyar mein acha aur bura nahi hota,
pyar mein saahey aur galat nahi hota,
joo hota hai bas pyar hota hai,
aur pyar ke siwaai kuch nahi hota.

adhurey rishton sey kissi ko kabhi pyar nahi milta,
jhooth keyy sahare mein pyar kabhi kisiko nahi milta,
jo miltey adhurey rishton mein pyar ke mithass,
toh duniya mein pyar ke siwaai aur kuch nahi milta.

jab dard mein khushi hoo,
aur khushi mein aasooon,
inn aasoon key khushi mein joh pyar panapta hai,
iss pyar ko dard kaun pahuchaye,
jab iss pyar ka janam heyy dard mein hota hai.

pyar ko log aaj kitna nufrat kartey hain,
itna nafrat kartey hai key nafrat ko heey pyar kartey hain,
agar isshey tarah haar nafrat mein chupa hoo pyar,
toh log nafrat seyy kyun...pyar seyy kyun pyar nahi kartey hain?

kuch loog pyar sey darr teyy theey,
kuch loog pyar mein dartey hain,
yeh kaisa pyar jiskey darr mein jeetey hoo,
yeh kaisa pyar jisme darr key jeetey hoo,
kyunki pyar toh harr darr ka jawaab hota hai,
kyunki sirf pyar heyy toh harr darr seyy paare hota hai.

logg pyar mein matlaab dhundtey hain,
magar pyar toh bematlaab hota hai,
(kyunki)agar hota hai pyar mein matlab koi,
toh woh pyar nahi dhoka hota hai.

pyar toh harr rog ka illaz hota hai,
magar pyar sey bada kya rog hota hai ?
yeh kaisa rog hai jiska illaz heey nahi hota hai,
magar ek aisa rog jo harr rog ka illaz hota hai......

1 Comments


superb..... really awesome....

Post a Comment

Copyright © 2009 The lonely wanderer All rights reserved. Theme by Laptop Geek. | Bloggerized by FalconHive.